Lyrics

Bewafa Lyrics Paras Chopra

Ho ik bewafa ne aisa mera haal kar diya

Ek bewafa ne aisa mera haal kar diya

Mere dil main reh ke dil ko

Barbaad kar diya haan..
Raaton ko uth uth ke rota tha main

Tere khyaalon mein khota tha main

Jab bhi yaad aata tha naam tumhara

Ashkon se aankhein bhighota tha main
Pagal awaara diwana tha main

Par tera aashiq purana tha main

Dhokha phir tune kyun mujhko diya

Tera hi tha na begana tha main
Ho mera dil tod ke kyun behaal kar diya

Mere dil main reh ke dil ko barbaad kar diya

Ek bewafa ne aisa mera haal kar diya
Woh vaade tumhare woh baatein tumhari

Ek ek kar ke mein likh dunga saari

Jhootha tha pyaar woh jhoothi wafaayein

Na jante the hai maut humaari
Pagal hai dil yeh samjhta nahi

Kehta hai vo ye kar sakta nahi

Kya isko bolun main kya samjhaun

Keh dega ab mein dhadhakata nahi
Jaan ne jaan le kar kya kamaal kar diya

Mere dil main reh ke dil ko barbaad kar diya

Ek bewafa ne aisa mera haal kar diya